Tuesday, January 20, 2015

poems: raasta

poems: raasta: khud apna raasta akthiyar kar, na waqt ko kabhi barbaad kar, jaane jism baki h abhi, na haar ko kabhi sweekar kar, muh me rakh jubaan s...

Sunday, January 18, 2015

raasta

khud apna raasta akthiyar kar,
na waqt ko kabhi barbaad kar,
jaane jism baki h abhi,
na haar ko kabhi sweekar kar,
muh me rakh jubaan sacchi,
dard baat kar hi udhar kar,
pee le gam ka jahr haskar,
rab se na kabhi takrar kar,
rakh na wasta nafrat se kabhi,
bas preeti ka hi izhaar kar,
hone na paye rihaai kabhi,
dil me is tarah giraftaar kar,
kar na sake neki agar,
duao me hi fariyad kar,
maana har dil azeez nhi,
par har insaan se pyaar kar,
mita kar hasti apni,
ghar kissi ka aabad kar.